Teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsaan hawa karti hai
shab ke tanhai mein ab to aksar
guftagu tujh se raha karti haI
dil ko us reh pe chalana hi nahi
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahane mein raha karti
hai
us ne dekha hi nahi warna ye
aankh
dil ka ehaval kaha karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par naam likha karai hai
sham padate hi kisi shakhs ke yaad
kucha-e-jan mein sada karti
hai
mujh se bhi us ka hai vaisa hi
suluk
hal jo tera ana??? karti hai
dukh hua karta hai kuch aur
bayan
baat kuch aur hua karti hai
abr barase to inayat us ke
shakh to sirf dua karti hai
masala jab bhi utha chiragon ka
faisala sirf hawa karti hai...
No comments:
Post a Comment